“Visaal-e-waqt mein, tangi-e-vusuat par hoon pareeshaan.
Jo hogi na zamee, tab mere kadmon taley.”
“Unka naadaan sa woh sawaal ki aapko humse kaam hai kya.
Ab kya doon unko jawaab, khada hoon sar maley.”
“Aatish-e-bewafayi ka ajab asar dekh.
Ki sholon se pehle, mere kaagazi ehsaas jaley.”
“Kya hoga koi khauffzada, apne husn–tehreer par.
Aks jiska meri aankhon mein, ahsq bankar paley.”
“Honth dabakar kyun has diye, gulaam-e-ishq apna banakar,
Keh dita hota, gar hum aapko itna khaley.”
“Nikalna bepardah tu jannat ki gali se.
Khuda ki neeyat toh saaf ho jaaye pehle.”